2 Line Poetry In English
2 line poetry in english
Meri har nazar mein basi hai tu, mere har qalam pe likhi hai tu,
Tujhe soch loon toh ghazal meri, na likh sakun toh woh khayal hai tu.
Musafir ishq ka hoon meri manzil muhabbat hai,
Tere dil mein teher jaou agar teri ijazat hai.
Ishq ka samandar bhi kiya khub samandar hai,
Jo doob gaya woh aashiq jo bach gaya woh deewana.
Mujhy qabool hai her dard her takleef teri chahat mein,
Bas itna bata de kiya tujhe meri mohabbat qabool hai.
Zindagi mein aap se milna bhi zaroori tha,
Ishq kya cheez hai yeh janna bhi zaroori tha,
Meri khushiyun ka khazana ho tum,
Is liye apko pana meri manzil banana bhi zaroori tha.
Jab bhi dekhta hoon tumhein lagta hai yeh din naya hai,
Nigahein tumko dekhna chahti hain mere dil ko yeh kya howa hai.
Kuch rishte uparwala banata hai kuch rishte log banate hain,
Per woh log bahut khaas hote hain jo bina rishte keh koi rishta nibhate hain.
Deep English Poetry 2 Lines
Nazar aur naseeb ke milne ka itefaq kuch aisa hai ke,
Nazar ko aksar wahi cheez pasand aati hai jo naseeb mein nahi hoti.
Kitna bhi khush rehne ki koshish karlu,
Jab bhi woh yaad aata hai sach mein bahut rulati hai.
Suno nazar andaz karne wale teri koi khata hi nahi,
Mohabbat kya hoti hai shayad tujhe pata hi nahi.
Na koi kisi se door hota hain na koi kisi ke qareeb hota hain,
Woh khud hi chal ke aata hai jo jiska naseeb hota hain.
Din hua hai to raat bhi hogi ho mat udas kabhi to baat bhi hogi,
Itne piyar se dosti ki hai zindagi rahi to mulaqat bhi hogi.
Koi hasaye toh hans lete hain,
Dil mein dard ho toh ro lete hain,
Need waise bhi kam aati hai,
Per sapno mein tum aaogi,
Yeh soch ke so lete hain.
Shayari In English Images Download
Ishq sabhi ko jeena sikha deti hai,
Wafa ke naam par marna sikha deti hai,
Ishq nahi kiya to kar ke dekho,
Zalim har dard sehna sikha deti hai.
Aap se door ho kar hum jayenge kahan,
Aap jaisa dost hum payenge kahan,
Dil ko kaise bhi sambhal lenge,
Par aankho ke aansu hum chupayenge kahan.
Wafa ka naam na lo yaaro wafa dil ko dukhati hai,
Jab bhi wafa ka naam aata hai,
Humein ek bewafa ki yaad aati hain.
Dard se hath na milate toh aur kya karte,
Gham ke aansoo na bahate toh aur kya karte,
Usne maangi thi humse roshni ki dua,
Hum khud ko na jalate toh aur kya karte.
Humse ziyada koi bechain kya hoga,
Humse ziyada koi betab kya hoga,
Yaadun ko bahoon mein lekar soye rahe,
Isse ziyada unke piyar ka jawab kya hoga.
Koshish toh har roz karte kai keh waqt se samjhota kar le,
Kambakhat dil ke kone mein chupi umeed manti hi nahi.
Poetry In English For Students
Nazar chahti hai deedar karna,
Dil chahta hai piyar karna,
Kya bataun is dil ka alam,
Naseeb mein likha hai intezar karna.
Woh nadan hai baatein samajhte nahi,
Yeh din yeh raatein samjhte nahi,
Main pass bhi jaun toh dar jate hain,
Main dard nahi dawa hoon samajhte nahi.
Agar thak jao kabhi to humse kehna,
Hum utha lenge tumko apni bahoon mein,
Aap ek baar piyar kar ke toh dekho humse,
Hum khushiyan bichha denge aapki rahon mein.
Udas na hona hum aapke sath hain,
Nazar se door per dil ke pass hain,
Palkon ko band kar ke dil se yaad karna,
Hum hamesha aap keliye ek ehsaas hain.
Jo nibha na saku aisa wadda nahi karta,
Main baat apni auqat se ziayada nahi karta,
Bhale baat apni auqat se ziayada nahi karta,
Magar kisi ko girane ka irada nahi karta.