The Best Mood Off Shayari Emotional Shayari | Piyari Shayari

Mood off shayari is a powerful way to express those deep emotions that words alone can’t capture. If you are sad, heartbroken, or just down, shayari can help. Many people turn to sad shayari and emotional shayari during tough times to find comfort and connection. Alone shayari speaks to moments of isolation. Dard shayari touches the pain of a broken heart. If you want to share your feelings, try mood off shayari status or broken heart shayari. They perfectly capture those tough emotions. From the depths of the mood off poetry to the intensity of upset shayari, these words offer relief and understanding when you need it most.

Mood Off Shayari

mood off shayari
Mood Off Shayari

Mod thek karne ke liye koi nahi aata,
Aur Kharab karne ke liye logon ka maila lag jata hai.

Zindagi aisi guzar rahi hai mood off hone par bhi,
Hasna padta hai ta keh kisi ko pata na chale.

Chup rehna hi sahi lagta hai,
Kiyun ke samajhne wala koi nahi hai,
Aur jo samajhne wala hai woh baat ka,
Alag hi matlab nikal leta hai.

mood off shayari
Mood Off Shayari

Kitna nadan hai yaar yeh dil
Samajh kar bhi samajhta nahi,
Marta bhi toh usi par hai jo isey kuch samajhta nahi.

Kisi shayar ne kaha tha mohabbat na karna,
Lekin ho jaye toh inkaar bhi na karna,
Nibha sako toh hi mohabbat karna,
Warna kisi ki zindagi barbaad na karna.

Mood Off Poetry

mood off shayari
Mood Off Shayari

Kuch yaadein yaad rakhna
Kuch baatein yaad rakhna
Zindagi mein hum sath nahi rahenge lekin
Hum kabhi sath they yeh zindagi bhar yaad rakhna.

mood off shayari

Kal tak haal pochne wale aaj baat bhi nahi karte,
Mujhe bhool gaye shayad woh iss liye toh ab yaad nahi karte.

Bahot dard hota hai jab humein yeh pata chalta hai keh,
Jinke messages ka hum intezar karte hain woh kisi aur se baat karte hain.

Kon kehta hai hum tabah nahi hain,
Meri barbadi ka bas koi gawah nahi hai,
Sab dekhte hain mujhe muskurate howe,
Kiyun keh tootne ke liye koi jagah nahi hai.

Woh khush hai par shayad humse nahi,
Woh naraz hai par shayad humse nahi,
Kon kehta hai keh unke dil mein mohabbat nahi,
Mohabbat hai par shayad humse nahi.

Mood Off Status Shayari

Mood Off Shayari

Kabhi ruk gaye kabhi chal diye kabhi chalte chalte bhatak gaye,
Yunhi umar saari guzaar di yunhi zindagi ke sitam sehe,
Kabhi zulf par kabhi chasham par kabhi tere haseen wajood par,
Jo pasand they meri kitab mein woh shayar saare bhikar gaye.

Ek raat hoi barsat bahot main roya saari raat bahot,
Har ghum tha zamane ka laiken main tanha tha uss raat bahot,
Phir aankh se ek sawan barsa jab seher hoi toh khiyal aaya,
Woh badil kitna tanha tha jo barsa saari raat bahot.

Yeh aanso yeh ghum har pal nahi honge,
Yeh yaadein yeh lamhe kam nahi honge,
Baat kar liya karo kuch pal humse khoshi ke sath,
Qasam se bahot yaad karo gay jab hum nahi honge.

Hum bhi khamosh ho gaye halaat dekh kar,
Bewafa samajh rahe hain jawab na de kar,
Jin keliye hamesha acha hi sochte rahe,
Woh aaj humein bhool gaye ek afsana keh kar.

mood off shayari

Ab mere ashak mohabbat bhi nahi aap ko yaad,
Aap toh apne hi daman ki nami bhool gaye,
Ab mujhe koi dilaye na mohabbat ka yaqeen,
Jo mujhe bhool na sakte they wohi bhool gaye.

Heartbreak Shayari

Thokar na maar mujhe pathar nahi hoon main,
Hairat se na dekh koi manzar nahi hoon main,
Teri nazar mein meri qadar kuch bhi nahi,
Meri qadar un se poch jinhein hasil nahi hoon main.

mood off shayari
Mood Off Shayari

Yeh jhooti kahaniyan mujhe na sunao,
Keh maali mar jaye aur baagh thek rahe,
Kaise mumkin hai rah-e-mohabbat mein,
Mahboob chod jaye aur dimagh thek rahe.

Usey shak tha keh mujhe shak tha uss peh
Mujhe shak tha keh mera haq tha uss peh
Usey jana tha mujhe rona tha yahi hona tha
Usey pata tha dil kis had tak tha uss peh.

Khali pade howe hain mere hath dekh lo,
Koi nahi hai aaj mere sath dekh lo,
Main jinko dastiyab raha qalb-o-jan se,
Woh jate jate kehh gaye auqat dekh lo.

mood off shayari
Mood Off Shayari

Maine woh sab gile shikwe apne andar hi
Dafan kar liye hain jo tumse karne bante they
Kiyun keh jo sab kuch jante howe bhi anjan ban jaye
Wahan pichle hawale nahi dhoraye jate.

Related Stories

Discover

Reliable Tech Park Photos: Capturing the Future of Innovation...

In the digital era, tech parks have become the epicenters of innovation and futuristic...

How to Increase Breast Size Naturally: Your Comprehensive Guide

Many women desire a fuller bust for aesthetic or confidence-boosting reasons, and while surgery...

The Ultimate Guide to Nitro-Tech Whey Protein: Benefits, Ingredients...

In the world of fitness supplements, few products stand out quite like Nitro-Tech Whey...

How to Date Billy Walsh

Dating can be a thrilling experience, especially when the person of interest has an...

Amar Madhuban Tech Park: A Modern Hub for Innovation...

In today’s fast-evolving tech landscape, the environment where businesses operate plays a vital role...

World Health Day 2024: Embracing Health and Well-being for...

Every year on April 7, we celebrate World Health Day—a global awareness day aimed...

Popular Categories

Comments

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here