The Best Alone Shayari in English | Piyari Shayari

0
10

Introduction:

The latest alone shayari in english is a heartfelt reflection of emotions that are often left unspoken. It gently expresses the silent pain of being alone and the strength. Feeling alone sad shayari in english brings comfort to hearts that are searching for understanding in lonely times. Each line in a lone life shayari or alone love shayari carries a part of the soul.  This poetry turns personal pain into powerful words. Our Piyari Shayari collection verse holds a sense of peace, healing, and quiet strength.

Headings:

Alone Shayari in English

Feeling Alone Sad Shayari

Alone Shayari Girl

Alone Love Shayari

Alone Life Shayari

Alone Boy Shayari

Shayari

1

Qudrat ke in haseen nazaaron ka hum kya karen,

Tum sath nahi to in chand sitaron ka kiya karein,

Kitna bhi duniya ke liye hans ke ji lein hum,

Rula deti hai phir bhi kisi ki kami kabhi kabhi.

2

Yaad karte hain tumhein tanhai mein,

Dil douba hai ghamu ki gehrayi mein,

Humein mat dhoondhna duniya ki bheed mein,

Hum mile tumhari hi parchai mein.

3

Kash ke hum unke dil peh raaj karte,

Jo kal tha wohi piyaar aaj karte,

Humein ghum nahi unki bewafai ka,

Bas arman tha ke hum bhi apne piyaar pe naaz karte.

4

Rone se nahi hasil kuch aye dil-e-sudai,

Aankhon ki bhi barbadil daman ki bhi ruswai,

Hum log samandar ke bichhade hue sahil hai,

Is paar bhi tanhai us paar bhi tanhai.

5

Jiski yaadon mein raat guzar jati hai,

Jis ke liye aankhen bhar aati hain,

Mushkil hai usko ye kehh pana,

Tere bin dhadkan bhi tham jati hai.

6

Koi humari tarah chahe toh bata dena,

Koi humari tarah sataye to bata dena,

Mohabbat to kar lay ga koi bhi,

Koi humari tarah nibhaye to bata dena.

7

Main roota raha saari raat jiski yaadon mein,

Wo shaks masroof raha kisi aur ke sath baaton mein,

Main toot sa gaya hun jab se hai mili mujhe ye khabar,

Keh rakh diya wo shaks apna hath kisi aur ke hathon mein.

8

Aana ka bojh kabhi jisam mein utaar ke dekh,

Mujhe zuban se nahi roh se pukaar ke dekh,

Zara tujhe bhi toh ehsaas hijar ho jana,

Bas ak raat mere haal mein guzar ke dekh.

9

Meri tanhai ka mujhe gilla nahi,

Kiya howa jo wo shaks mujhe mila nahi,

Phir bhi dua karen gay us ke vaste,

Usey wo sab mile jo mujhe mila nahi.

10

Bichhad gaya hai toh ab uska sath kya mangu,

Zara si omar hai ghum se nijat kiya mangu,

Wo sath hota to hoti zarooratein bhi bahot,

Akeli zaat ke liye main kainat kiya mangu.

11

Kya karo gay ab mere pass aa kar kho diya tumne mujhe baar baar azma kar,

Bola tha tumhen mat jao yun tanha chod kar kya mila tumhen mera dil dukha kar,

Tum to kehte the tum sa koi nahi phir kiyon mujhe choda jhooti umeed laga kar,

Zindagi guzar rahi hai guzar hi jani hai lekin tum kaise khush reh pao gay mujhe rula kar.

12

Woh apna bhi nahi woh paraya bhi nahi,

Yeh kaisi dhoop hai iska saya bhi nahi,

Kisi shaks ko chaha zindagi ki tarah,

Usse door bhi rahe aur bhulaya bhi nahi.

13

Khali pade mere hath dekh lo,

Koi nahi hai mere sath dekho,

Maine saari omar chaha jinko,

Woh jate jate keh gaye lo apni auqat dekh lo.

14

Akele hain tanha zindagi bhar rahenge shayad,

Aye khuda kaash mere sath bhi koi hota,

Koi mere pass bhi hota aanso pochane wala,

Toh main yun hi na tanha saari raat rota.

15

Milne ki khushi hai ya dur hone ka gham,

Aankhon mein aanso hain ya udas hain hum,

Kaise kahein kaise hain bas itna samajh lena,

Aapke bin bahut akele hain hum.

16

Kisi ko mohabbat ki sachai maar dale gi,

Kisi ko piyaar ki gehrai maar dale gi,

Kar ke mohabbat koi nahi bach payega,

Jo bach gaya use bhi tanhai maar dalegi.

17

Khafa ho ker zindagi se naata nahi todte,

Rah ho mushkil phir bhi manzil nahi chodte,

Tanha na samajhna khud ko duniya mein kabhi,

Hum un mein se hain jo kabhi tanha nahi chodte.

18

Koi humein rula kar chala gaya,

Dil ko dukha kar chala gaya,

Hum toh pehle se hi tanha the,

Koi ehsaas dila kar chala gaya.

19

Woh to deewani thi mujhe akela chod gayi,

Khud na ruki toh apna saya chod gayi,

Mujhe dukh na sahi par gham iss baat ka hai,

Aankhon se kar ke wada honthon se tod gayi.

20

Zindagi ne kuch iss tarha ka rukh liya,

Jis ne jis tarha chaha mujhe mod diya,

Jis ko jitni thi zaroorat sath chala,

Aur phir ak lamhe mein tanha chod diya.

21

Meri nazar se na ho dur ak pal ke liye,

Tera wajud hai lazim meri ghazal ke liye,

Kahan se dhoond ke laou chiragi se woh badan,

Taras gayi hain nigahein kanwal kanwal ke liye.

22

Tanhai mein muskurana ishq hai,

Ak baat ko sab se chupana ishq hai,

Yoon toh neend nahi aati hai raat ko,

Yoon toh neend se jaag jana ishq hai.

23

Na jane kiyun khud ko akela sa paya hai,

Har ak rishte mein khud ko gawaya hai,

Shayad koi toh kami hai mere wajud mein,

Tabhi har kisi ne humein yun hi thukraya hai.

24

Manzil bhi uski thi raasta bhi uska tha,

Ak main akela tha qafila bhi uska tha,

Sath sath chalne ki soch bhi uski thi,

Phir raasta badalne ka faisla bhi uska tha.

25

Piyaar kisi se jo karo gay ruswai hi mile gi,

Wafa kar lo chahe jitni bewafai hi mile gi,

Jitna marzi kisi ko apna bana lo,

Jab ankh khule gi tanhai hi mile gi.

26

Iss do pal ki zindagi mein tanhai kiyun hai,

Logon ko humse ruswai kiyun hai,

Iss duniya mein pagal kam toh nahi,

Phir mere sath sirf meri parchai kiyun hai.

27

Jab mehfil mein bhi tanhai pass ho,

Roshni mein bhi andhere ka ehsaas ho,

Tab kisi khas ki yaad mein muskura do,

Shayad wo bhi apke intizar mein udas ho.

28

Meri yaadein mera chehra meri baatein rulaye gi,

Hijar ke daur mein guzri mulaqatein rulaye gi,

Dino ko toh chalo tum kaat bhi lo gay fasano mein,

Jahan tanha milo gay tum tumhein raatein rulaye gi.