Shayari is very popular in India. Indian people listen to sad poetry on life a lot. It is a way of conveying the hidden pains and memories within the human being through poetry. Shayari on Life is a popular type of Shayari. Which deals with mixed aspects of life. Life is an easy road and a hard road. In which joys and sorrows keep coming. Sad shayari on Life captures the essence of this knowledge and emotion with great depth and meaning. Which we face in our life. And there is a way to control them. Life Shayari in English is a source of comfort for many people.
Shayari On Life
Rook ke behte hain hum zindagi ko,
Ke tum ao tou jeena sharu krein.
Mati bhi jama ki khilone bhi bana ker dekhiye,
Zindagi kabhi na muskurai phir bachpan ki tarha.
Ajeeb hai zindagi ki qeid mein duniya ka har insaan,
Rihai mangta hai aur hone se darta hai.
Kat tou gaya hai kaise kta ye na pochiye,
Yaaro safar hayat ka asan tou na tha.
Guzar tou jaye gi tere bagir bhi lekin,
Badi udas badi be karar guzre gi.
Tumhein dene ko humare pas kuch bhi nahi,
Humare bas mein thi zindagi wo bhi tumhare naam ker di.
Shayari On Life In English
Zindagi kaise bataon ke safar kaisa raha,
Dhoul itni hai ke lehjon se nikal aaye gi.
Kiya howa jo zindagi ulajh si gayi hai,
Hum bhi muskura ke suljha lein gay.
Tujhe yaad na krein tou bechain se ho jaate hain,
Pata nahi ye zindagi anson se chalti hai ya teri yaad se.
Aye zindagi aa beth kahein chai pete hain,
To bhi thak gayi hagi mujhe bhagate bhagate.
Zindagi aa mein tujhe gale lagata hoon,
To sitam karta ja mein apna sabar azmata hoon.
Sad Shayari On Life
Kiya mile ga dil mein nafrat rakh ker,
Thodi se zindagi hans ker guzar de.
Tum pass thay humare ye hum sath thay tumhare,
Wo zindagi ke kuch pal ye zindagi thi kuch pal.
Zindagi sab kuch de ker bhi Kisi na kisi,
Cheez ke liye faqeer bana ker hi rakhti hai.
Pocha gaya ke zindagi kiya hai,
Farmaya gaya
Azan se namaz tak ka safar.
Kuch adhuri baatein kuch na mukamal khuwab,
Zindagi tujhe aisa hi paya.
Haye itni si umar mein itne saare tajarbe,
Aye zindagi mujhe thoda tou jene de.
Zindagi mein jo bhi mila sabaq de gya,
Har shaks mera ustad nikla.
Kuch log zindagi hote hain,
Magar zindagi mein nahi hote.
Masoom bachpan ghumrah jawani mohtaj budhapa,
Be raham mout bas yahi zindagi hai piyaare.
Kisi ne zindagi se pocha ke,
to itni mushkil kiyun hai tou,
Zindagi ne muskura ker jawab diya
ye duniya asan cheezon ki qadar nahi kerti.
Do pal ki zindagi yoon beet jaye gi,
Kali raat ke bad nai subah aaye gi,
Agar doston ki yaad staaye gi,
Tou qasam se aap ki yaad sab se pehle aaye gi.
Life Shayari In English
Aye zindagi tu mujh se kiyun khafa rehti hai,
Har phool se khushboo bhi tou juda rehti hai,
Aaj wo din kabhi wo din bhi tha,
Jab meri rag rag mein wafa rehti thi.
Zindagi aa mein tujhe gale se lagata hoon,
Tu sitam kerta ja mein apna sabar azmata hoon.
Zindagi bhot khubsorat hai,
Agar sab apni apni guzrein tou.
Kab dhoop chali sham dhali kis ko khabar hai,
Ek umar se mein apne hi saye mein khada hoon.
Mukammal hoti hi nahi taleem aye zindagi,
Yahan ustad bhi ta umar ak shagird rehta hai.
Kiya kahon zindagi ke bare mein,
Ak tamasha tha umar bhar dekha.
Aye zindagi bhot ghor kiya hai meine tujh per,
Tu rangeen khiyaloon ke siwa kuch bhi nahi.
Marta nahi hai koi kisi ke liye ye haqeeqat hai zindagi ki,
Lekin sirf saans lene ko tou jeena nahi kehte.
Bade hi ghaate ka soda hai ye saans lena bhi,
Umar bhadti hai aur zindagi kam hoti hai.
Aye zindagi jitni marzi talkiyan badha,
Waada hai tujhe hans ker guzare gay.
Phool ban ker muskurana zindagi hai,
Muskura ke gham bhulana zindagi hai,
Jeet ker koi khoshi ho to kiya howa,
Haar ker khoshi manana bhi zindagi hai.
Aksar kitabo ke wark palat ker sochta hoon,
Aye khash palat jaye yoon zindagi to kiya baat hai.
Zindagi kisi ki bhi asan nahi hoti,
Zindagi ko asan banana padta hai,
Piyar se khalos se apnaiyat se,
Aur sab se badh ker piyar se.
For more detail: Piyari Shayari