Top Izhar E Mohabbat Shayari in English, Love Shayari 2024

Mohabbat shayari has always been a timeless way to express the depth of love and emotions. This collection has it all. It has romantic piyari shayari to capture affection. It also has sad love shayari to convey heartache. Every verse speaks directly to the soul from pyar mohabbat shayari to heart touching dard bhari love shayari. Also, find beautiful piyari mohabbat shayari and 2 Line mohabbat poetry. They offer quick impactful expressions of love. Find the best mohabbat shayari status and dil ki mohabbat shayari to share with your loved ones.

Best Mohabbat Shayari

mohabbat shayari
Mohabbat Shayari

Naqab uda toh mujhe surkh lab dekhai diye,
Woh do diye jo hawa ke sabab dekhai diye,
Main juzwi andha tha do char rang dikhte thay,
Magar jab us ne kaha dekh sab dekhai diye.

mohabbat shayari
Mohabbat Shayari

Qabil e rashk hota hai woh shaks milon door ho kar bhi,
Apke dil par raj karta hai jab chahe apko,
Khosh, Udas aur Gamgeen karne ki taqat rakhta hai.

Jane aisi bhi kya dil lagi ki thi tumse,
Maine akhri khuwaish mein bhi teri mohabbat mangi.

mohabbat shayari

Main dua karon ga humare milne ki,
Agar qismat mein howa toh zaroor mile gay,
Meri chahto ki shaam haseen ho jaye,
Main tumhein mangu aur har taraf Ameen ho jaye.

Shoor bahot hai magar sunai nahi de ga,
Dard dil ka chehre par dekhai nahi de ga,
Ak tujh se banane ke liye maine bigar li sab se,
So mere haq mein bhi koi gawahi nahi de ga.

Keh dua hai humari keh teri zindagi mein koi ghum na rahe,
Agar iss ghum ki waja hum hain toh,
Khuda ki qasam iss duniya mein hum na rahein.

2 Line Mohabbat Poetry

Nahi hogi kisi aur se mohabbat yeh wada hai,
Kiyun keh is dil ko teri zaroorat hai had se ziyada hai.

Dil kiyun khinchaa jaata hai uski taraf ya khuda,
Kya us ne bhi mujhe hasil karne ki dua mangi hai.

Mohabbat Shayari

Pehli mohabbat ke liye dil jise chunta hai,
Woh apna ho na ho dil par raaj hamesha usi ka rehta hai.

Kitna piyar hai iss dil mein bata nahi paate,
Par yeh sach hai jaan tere bin ab hum reh nahi paate.

mohabbat shayari

Behke behke andaz yeh baya hote hain,
Jab ap hote hain toh hosh kahan hote hain.

Teri aankhon mein humein apna kal dikhai deta hai,
Sab kuch theek ho jata hai jab tu humein apni baahon mein leta hai.

Romantic Piyari Shayari

Unko meri mohabbat piyari lagi hai,
duniya ko meri kalam piyari lagi hai,
hamne kya likha hai khuda jaane,
duniya ko meri likhi har baat piyari lagi hai.

mohabbat shayari

Hum tumhein piyar karte hain aye sanam,
Ho sake toh meri yeh khata maaf karna,
Badnaam mohabbat hamari hai,
Tum badnaam piyar mera mat kana.

Yeh mano keh bade hi badnam hain hum,
Kar jate hain shararat kiyun keh insan hain hum,
Lagaya na kariye hamari baaton ko dil se,
Apko to pata hai kitne nadan hain hum.

Mohabbat Shayari

Mere aansu agar behte hain toh behne de,
Mere hissey ki khushiyan tu rehne de,
Mere sath piyar mohabbat ki baatein kar,
Apne sabhi shikwey giley rehne de.

Uski mohabbat ka silsila bhi kya ajeeb hai,
Apna bhi nahi banati kisi aur ka bhi nahi hone deti.

In saanson ko teri zaroorat ka ehsaas hai,
In labon ko sirf teri hi piyaas hai,
Tu mile ya na mile zindagi mein mujhe,
Mere dil ko toh sirf teri hi aas hai.

Ishq Shayari

Agar mujhe saans lene aur aap se piyar karne mein se,
Kisi ak ka intekhab karna padta hai toh main apni akhri saans,
Apko batane ke liye istemal karon ga keh,
main ap se mohabbat karta hoon.

mohabbat shayari

Qismat peh naaz hai toh wajah teri mohabbat,
Khoshiyan jo pass hain toh wajah teri mohabbat,
Main tujh se mohabbat ki talab kaise na karon,
Chalti jo saans hai toh wajah teri mohabbat.

Yeh jo hai apka muskurata chehra,
Ban ke rehta hai mere dil ka sehra,
Bas ise yuhi aap rakhna salamat,
Kiya pata kab kat jaye meri saanso ka pehra.

Khairiyat nahi pochte meri
Magar khabar rakhte hain,
Maine suna hai keh woh
Mujh par hi nazar rakhte hain.

Aaj phir se hawaon ne rukh badla hai
Aaj phir se fizaon mein rang dhala hai
Mere dil ko hamesha ho raha hai ehsaas
Shayad kisi se iqrar hone wala hai.

Related Stories

Discover

World Health Day 2024: Embracing Health and Well-being for...

Every year on April 7, we celebrate World Health Day—a global awareness day aimed...

How to Make Purple Color: A Complete Guide for...

Learning how to make the color purple opens up a world of creative possibilities....

Anant Ambani: A Deep Dive into His Health Journey

Anant Ambani, the youngest son of Indian billionaire Mukesh Ambani and Nita Ambani, has...

Free Bus Travel Telangana: Everything You Need to Know

The Telangana government recently introduced a free bus travel initiative that has sparked interest...

Impresario Entertainment & Hospitality: A New Era of Experiences

In an era where experiences often outweigh material possessions, the concept of entertainment and...

Travel Insurance for Thailand: Everything You Need to Know

Traveling to Thailand, with its beautiful beaches, bustling cities, and vibrant culture, is an...

Popular Categories

Comments

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here