For a dose of inspiration to shine your day you are in the right place. Our top 11 motivational shayari in english collection is designed to uplift your spirit and keep you motivated. These thoughtfully chosen verses embody the spirit of determination and positivity. Making them perfect for those moments when you need an extra push. Whether you are starting a new journey or facing a tough challenge these Shayari will remind you of the power of resilience. Read these motivational lines that will inspire you to move forward.
Life Motivational Shayari in English
Farq Iss Se Nahi Padta Keh Ab Tak Aapne Kya Kiya Hai,
Farq Iss Se Padta Hai Keh Ab Aap Kya Kerne Wale Hain.
Woh Azmata Bhi Hai Aur Nawazta Bhi Hai,
Iska Har Andaz Khubsurat Hai,
Kiyun Ke Woh Rahman Hai Rahem Hai.
Maine Apni Qismat Ko Apne Rab Per Chod Diya Hai,
Iss Liye Nahi Ke Mera Rab Behtar Kary Ga,
Balkeh Iss Liye Keh Mere Rab Se Behtar Koi Ker Hi Nahi Sakta.
Jo Acha Lage Ussy Gaur Se Mat Dekhein,
Kahein Aisa Na Ho Keh Aap Ko Uss Mein Koi Burai Nazar Aajaye,
Jo Bura Lagay Ussy Gaur Se Dekhein Shayad Koi Achai Nazar Aajaye.
Motivational Shayari in English For Students
Aye Khuda Iss Se Pehle Yeh Duniya Mujhe Ruswa Ker De,
Tu Mere Jisam Meri Roh Ko Acha Ker De,
Yeh Halat Apni Jo Maine Khud Banai Hai Magar,
Jaisa Tu Chahta Hai Waisa Ker De.
Zindagi Mein Aisa Waqt Bhi Aata Hai,
Jab Insan Her Cheez Ki Haqeeqat Se Waqif Ho Jata Hai,
Tab Kuch Log Dil Mein Jagah Bana Lete Hain,
Aur Kuch Hamesha Keliye Dil Se Utar Jaate Hain.
Motivational Shayari in Roman English
Kisi Ki Jagah Lena Aur Kami Puri Kerna,
Dono Alag Alag Baatein Hain,
Jagah Li Ja Sakti Hai Laiken Kami Puri Nahi Ho Sakti.
Jab Chal Pade Ho Safar Ko to Phir Hosla Rakho,
Sehra Kahein Kahein Peh Samandar Bhi Ayein Gay.
Inspiration Motivational Shayari in English
Hosla Rakh Ak Samay Aisa Aaigay,
Jab Ghadi Dusre Ki Hogi Aur Samay Tera Bataiga.
Woh Jo Kehte Hain Tumhein Chod Ker Kabhi Nahi Jaiye Gay,
Woh Tumhein Iss Qadar Zaleel Karein Gay Keh Tum,
Khud Inhein Chodne Per Majboor Ho Jao Gay.
Agar Koi Rabta Nahi Kerna Chahta Usse Tang Na Karein,
Phir Mangi Hoi Tawajo Izat-E-Nafs Ki Toheen Hoti Hai.