Have you read of a shayari of motivation that will lift your soul and kindle a blaze within? I have curated a superb display of life Shayari in English. Whether seeking solace during tough times or yearning for a little extra motivation. These enchanting Shayari on life are here to awaken the emotion within. We’ll be exploring the world of life Shayari in English like never before. So sit back relax and prepare to be captivated by this successful life Shayari in English!
Life Shayari In English
Tu jo badla badal gaye hum bhi,
Piyar karte thay bandagi tou nahi,
Waqat kut jaaye ga har surat,
Tou koi shart-e-zindagi tou nahi.
Zindagi kaise baataon keh safar kaisa raha,
Dhool itni hai keh lehju se nikal aye gi.
Zindagi jeni hai tou agay dekho,
Zindagi ko samajhna hai tou pichay dekho.
Apni zindagi ka har din khobsurat banane ki koshish karein,
Na jane kab zindagi ki sham ho jae.
Dukh kitna hi bada kiyun na ho,
Zindagi nahi rukhti.
Zindagi tere taqub mein yeh log,
Itna chalte hain keh mar jaate hain.
Zindagi ki udas rahoun mein ak nae azum ki zaroorat hai,
Hoslah ho agar insaan mein tou gam ka har mod khobsurat hai.
Ye zindagi na jane kitne mod deti hai,
Har mod per ak naya sawal deti hai,
Dhondte rehte hain hum jawab zindagi bhar,
Jawab mil jae tou wo sawal badal deti hai.
Best Shayari About Life
Zeher lagti hai ab humdardi har shaks ki,
Meri duniya ujadi thi ek shaks ne yunhi dilasa de ker.
Marna tou is jahan mein koi hadsa nahi,
Is dor nagawar mein jeena kamal hai.
Zindagi ke hain do jahan,
Ak ye jahan hai ak wo jahan,
Is darmiyan fasla ak saans ka,
Jo chalti rahein tou ye jahan jo ruk jaaye tou wo jahan.
Kabhi kabhi khoshiyan itni ho jati hain,
Keh zindagi kam lagne lagti hai,
Aur kabhi kabhi dukh itne ho jaate hain,
Keh zindagi taweel aur bojh lagne lagti hai.
Zindagi hai ke ban behti hai gamoun ka samandar,
Keh jo bhi laher uthti hai ek naya zakham de jati hai.
Zindagi ki mehfil main jab sabar aata hai,
Tou be shumar gonah uth ke chale jaate hain.
Wo insaan kabhi haar nahi sakta,
Jis ki umeed Allah Pak se ho.
Zindagi jab deti hai tou ehsaan nahi kerti,
magar jab leti hai tou lehaz nahi karti.
For more detail: Piyari Shayari