Sad shayari on life is getting famous very fast. This is because many people read shayari to express their sentiments and senses. Shayari is a trendy and effective means of self-expression. Which helps people to connect strongly with each other. Shayari on life can cover topics varying from ishq and upset to faithfulness and sadness. This can be a source of encouragement and satisfying satisfaction to you. When you are going through difficult situations.
Sad Shayari On Life
Zindagi jabr hai aur jabr ke aasaar nahi,
Haye is qaid ko zanjeer bhi darkar nahi.
Haye itni si umar mein itne saare tajarbe,
Aye zindagi mujhe thoda to jene de.
Rakha karo raabta ke zindagi ka bharosa nahi,
Phir na kehna ke duniya chod di aur bataya bhi nahi.
Zindagi roti rahi hai zindagi ki talash mein,
Zindagi ko zindagi ki hasratein fana ker gayi.
Aye zindagi bhot gor kiya hai maine tujh per,
Tu rangeen khiyalon ke siwa kuch bhi nahi.
Kiya howa jo zindagi ulajh si gayi hai,
Hum bhi muskura ke suljha le gay.
Padhi hain yoon tou kitabein hazaron magar,
Haqeeqat mein jo sabaq mile apni zindagi se mile.
Kiya kahon zindagi ke bare mein,
Ak tamasha tha umar bhar dekha.
Zindagi teri sari chaalein ak tarf,
Mera har baat pe muskura dena kamal raha.
Hasher mein ay khuda na dena,
Phir saza koi zindagi jaisi.
Sad Life Shayari
Koi sulah kara de zindagi ki uljhanon se,
Badi talab hai aaj humein bhi muskurane ki.
Khubsorat zindagi ke raaz,
Dua kijiye dua lijiye dua dijiye.
Tumhare baad na takmeel ho saki,
Tumhare baad adhure tamam khuwab lage,
Main kaise pukaron kahan se lao tujhe,
Tere bina zindagi agar udas lage.
Ajeeb hai duniya ki qaid mein duniya ka har insan,
Rihai mangta hai aur riha hone se darta hai.
Agar zindagi inti choti hoti,
Tou koi bhi duniya mein rote howe na aata.
Intne gor se na dekh mere haal ko zindagi,
Bhikre howe log aksar isi haal mein hote hain.
Kisi ko iski zindagi mein bakash dena,
Uski qabar pe dua kerne se behter hai.
Is duniya ki chaar diwarein hain,
Har koi do char din ka mehmaan hai,
Bas farq itna hai koi mashhoor hai aur koi gumnam hai.
Main tabah hoon tere ishq mein,
Tujhe dusron ka khiya hai,
Kuch mere masle pe gor ker,
Meri tou zindagi ka sawal hai.
Agar zindagi ko hamesha khoshi ke sath guzarna chahte ho tou,
Ghamzada logon ke gham suna karo kabhi dukhi nahi raho gay.
For more detail: Piyari Shayari